RAMZAAN KI AHIMIYAT AUR TIME TABLE


TIME TABLE FOR KRUSAN LOLAB





★ Ramzan ki Ahmiyat ?

..
Sabse pehli baat ke “Kisi cheez ki agar hume Ahmiyat na maloom ho tou fir uska fayda bhi hum nahi utha patey hai.” aur dusri baat ke “kisi cheez ke agar Masail maloom na ho tou uska sahi istemaal bhi hum nahi kar patey hai.”

Usi tarha agar hum “Ramzan” ke Fazail nahi jaan sakenge tou uski Ahmiyat nahi jaan sakenge aur uske Masail nahi janenge tou uska sahih fayda bhu hum nahi utha payenge.

Tou wo Mahina jo Humpar aanewala hai uski kya Ahmiyat hai, uske kya fazail hai In sha Allah is unwan me hum aapki khidmat me mukhtasar sa rakhne ki koshish karenge.

Aayiye Nabi-e-Kareem (ﷺ) aur Sahaba ke liye Ramzan kaise hua karte they wo jaan letey hai, wohi asal mayar(criteria) hai humare liye.

✲ Nabi-e-Kareem (ﷺ) aur Sahaba ke liye Ramzan ki Ahmiyat kya thi ?
Aahadees me aata hai ke “Jo hi Ramzan ka Mahina qareeb aata tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) kamarbasta ho jatey”




Lone jana

Comments